Sunday 27 March 2016

Aye Khuda Lyrics (DUET) - Rocky Handsome




AYE KHUDA LYRICS (DUET)...

Le aayi hai beete hue
Lamhon ko phir haan ye zindagi
Yun beraham si ho gayi
Lene chali jaan ye zindagi
Khuda kyun rooth gaya mujhse
Nahi tha bair mera tujhse
Kyun tune chheen liya mujhse
Mera jahaan…
Aye Khuda (Khuda…)
Tu bata (bata…)
Ummeed thi, armaan the
Khushiyan bhi thi, behisaab si
Baahon mein thi, duniya meri
Thi zindagi jaise khwaab si
Har ik pal roshan roshan tha
Mehekta dil ka aangan tha
Tha jannat se badhkar pyaara
Mera jahan…
Aye Khuda (Khuda…)
Yeh bata (bata…)
Yeh kya kiya Khuda… haaye!
Yeh kyun kiya Khuda…
Bata mere Khuda…
Thi kya meri khata…
Bejaan si hai zindagi
Har saans hai ghamzada
Yeh kya kiya Khuda… haaye!
Yeh kyun kiya Khuda…
Bata mere Khuda…
Thi kya meri khata…
Ummeed hai tooti hui
Tanhaiyon ka daur hai
Hai khwaishein bikhri hui
Khamoshiyon ka shor hai
Bula le apne paas mujhe
Naa aaye jeena raas mujhe
Kyun tune chheen liya mujhse
Mera jahaan..
Aye Khuda (Khuda…)
Tu bata (bata…)
Yeh kya kiya Khuda… haaye!
Yeh kyun kiya Khuda…
Bata mere Khuda…
Thi kya meri khata…
Bejaan si hai zindagi
Har saans hai ghamzada
Yeh kya kiya Khuda… haaye!
Yeh kyun kiya Khuda…
Bata mere Khuda…
Thi kya meri khata…
Aa…

No comments:

Post a Comment